Preview

Offer ends January 21, 2025 11:59PM GMT. Terms and conditions apply.
Prime logo Prime members: New to Audible? Get 2 free audiobooks during trial.
Pay £0.99/month. After 3 months pay £7.99/month. Renews automatically. See terms for eligibility.
Pick 1 audiobook a month from our unmatched collection - including bestsellers and new releases
Listen all you want to thousands of included audiobooks, Originals, celeb exclusives, and podcasts
Access exclusive sales and deals.
Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

AZAADI KI JUNG

By: Hoop Entertainment, Amit Upadhyay
Get this deal Try for £0.00

£7.99/month after 3 months. Renews automatically. See here for eligibility.

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Hoop Entertainment prastut karte hain AZAADI KI JUNG, ek Audible Exclusive peshkash SHOW SUMMARY Bharat ki Aanshik ghulami ko yun to 900 baras ho chuke the lekin ye 90 barson tak saat samandar paar se aaye Angrezon ke khilaaf lagatar chali Azaadi Ki Jung ne sab kuch badalkar rakh diya. 1857 ke sipahi vidroh se lekar 1942 se Bharat chhodo aandolan tak jo aakraamak jung chali usmein hazaron laakhon shaheedon ki qurbaniyon ne itihaas rach diya. Mangal Pandey, Jhansi ki Rani Laxmi Bai, Tatya tope se lekar Sardar Vallabhbhai Patel, Jawaharlal Nehru, Mahatma Gandhi ka ahinsaatmak aandolan raha ho ya Bal Gangadhar Tilak, Ramprasad Bismil, Bhagat Singh, Chandrashekhar Aazad aur Netaji Subhash Chandra Bose ka kraantikari aandolan raha ho.... Britannia hukumat ko jhukne pe mazboor kar diya. Vishwa ke maanchitra par ubhara ek vishaal prajatantra Bharat. Aazad Bharat Akhand Bharat. Ye audio series aapko ru ba ru karayega us tareekh se, un swatantrata senaniyon se jinhone apne khoon se apne balidaan se aasmaan pe likh diya aazadi aazadi aazadi. DISCLAIMER Ye audio drama series tathyon par aadharit ek kalpanik lekhni hai jiska sarvopari lakshya aapka manoranjan karna aur aapko aapke itihaas se parichit karana hai. Ismein liye gaye swatantrata senaniyon aur British adhikariyon ke naam aur kahi baatein shat pratishat satya to hain par natya rupantran ka prarup manoranjan ke liye kiya gaya hai jiska official documentation se alag hona swabhavik hai ... Aur kisi bhi jaati, dharm, pratha, stree, purush, pashuon aadi ko thhes pahuchana hamara uddeshya bilkul nahin hai. Dhanyawad Production House Hoop Entertainment Writer Amit Upadhyay Director Rajnish Rao Producer Nikhil Mirchandani & Preeti Mirchandani Creative Head Vivek Rao Creative Consultant Roma Dutia Post Producer & Executive Producer Aishwarya Shukla Director's Assistant Laxmikant Mishra Post Production Head Rajnish Rao Music & Bgm Sumit Jadhav Sound Design Ricky Tehra Mixing Hemant Khedekar Dubbing Studio Yuvi Creations Cast Himanshu Jha Sharad Shah Ramesh Goyal Raja Kapse Sunil Tiwari Sanjeev Sharma Rachit Kumar Shruti Patil Mayank Vishwakarama Sunny Charles Rohit Juneja Jasbir Thandi Rakesh Dube Satyapal Malik
    ©2022 Hoop Entertainment PVT LTD (P)2022 Hoop Entertainment PVT LTD
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • Episode 1 - Third Anglo Maratha War
    Dec 29 2022
    Bharat pe kabza jamaane ka sapna angrez ab dekhne lage the. Par unke aur unke sapne ke beech mein Maratha samrajya ek deewar ban kar khadi thi. Par maratha samrajya ab pehle jitna taakatwar nahi tha. Isi baat ka fayda utha kar British East India company ne dheere dheere kuchh Maratha raajaon ko yudh mein hara kar aur kuchh ko chhalbaazi se apni kathputli bana kar Marathon ki taakat ko kamzor kar diya. Teesre Anglo - Maratha Yudh ke khatam hote hote laghbag poora Bharat British East India company ke aadheen ho chuka tha. Ab British Raj se bhidne wali saltanat nahi bachi thi aur na hi unke Raja bache the.
    Show More Show Less
    21 mins
  • Episode 2 - 1857 Ki Kranti
    Dec 29 2022
    British East India Company ne Bharat par kabza toh kar liya tha par Bharat ki Janta unki tanashahi se na-khush thi. Jagah jagah log aawaz uthaane lage the. Iski shuruaat hui Mangal Pandey se, jinhone Gaay ki charbi se banaayi ja rahi Enfield rifle ki bullets ke khilaaf apni awaaz uthaayi. Mangal Pandey ke saath poori paltan chal padi. Angrezon ke khilaaf panap rahi iss aag ko hawa tab mili jab Rani Laxmi bai - Begum Hazrat - Maratha aur peshwaon ne sipahi vidroh mein hissa liya. Aur San 1857 tarikh ban gayi Bharat ki aazadi ki pratham ladai ki.
    Show More Show Less
    19 mins
  • Episode 3 - 1885 Congress Ka Gathan
    Dec 29 2022
    Bharat ko lekar British raj ke napaak mansube ab saaf ho rahe the. Bharat ki janta samajh chuki thi ki angrez Bharat ko bas apne faayde ke liye istemaal kar rahe the. Aise mein Bhartiyon ke beech British Raj ko lekar naraazgi badh rahi thi. British Sarkaar jaanti thi ki agar jald se jald kuch nahi kiya gaya toh yeh naraazgi phirse ek revolt ka roop le legi, aur isi liye unhone, A.O Hume ke suggestion aur leadership ke under ek party Indian National Congress banaayi. Indian National Congress ka maksad tha Bharat ke sabhi bade leaders ko ek organization ke under le aana aur unhein apni grievances rakhne ka common platform dena taki woh manipulate hote rahein.
    Show More Show Less
    21 mins

What listeners say about AZAADI KI JUNG

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.